dost phir bewafa ho gaya
dost phir bevafā ho gayā
zaḳhm-e-dil phir harā ho gayā
ab to vo bā-vafā ho gayā
chhoḌiye jo huā ho gayā
un kī āñkheñ bhī pur-nam huiiñ
aaj kyā mājrā ho gayā
zaḳhm-e-dil ḳhūñ-fishāñ ho chale
dard-e-dil lā-davā ho gayā
jaise manzil se ab āshnā
har qadam raah kā ho gayā
dil meñ rahiye samajh kar yahī
ab ye ghar aap kā ho gayā
faiz tere tasavvur kā hai
dil mirā aa.ina ho gayā
chup jo 'ḳhushtar' maiñ rahtā huuñ ab
log kahte haiñ kyā ho gayā
dost phir bewafa ho gaya
zaKHm-e-dil phir hara ho gaya
ab to wo ba-wafa ho gaya
chhoDiye jo hua ho gaya
un ki aankhen bhi pur-nam huin
aaj kya majra ho gaya
zaKHm-e-dil KHun-fishan ho chale
dard-e-dil la-dawa ho gaya
jaise manzil se ab aashna
har qadam rah ka ho gaya
dil mein rahiye samajh kar yahi
ab ye ghar aap ka ho gaya
faiz tere tasawwur ka hai
dil mera aaina ho gaya
chup jo 'KHushtar' main rahta hun ab
log kahte hain kya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.