dost se dushmani ye kya ai dost
dost se dushmanī ye kyā ai dost
mujh vafā-dost par jafā ai dost
tang hai aur arsa-e-ālam
terā kūcha hai dil-kushā ai dost
tar huā sun ke abr-e-dariyā-bār
mere ashkoñ kā mājrā ai dost
turk-e-mardum-shikār haiñ vallāh
terī āñkheñ haiñ kyā balā ai dost
tinke chuntā huuñ muñh huā hai zard
ġham se huuñ rashk-e-kahrubā ai dost
tap-e-soz-e-darūñ se martā huuñ
ishq hai dard-e-lā-davā ai dost
ham se nafrat hai dushmanoñ se rabt
hue begāne āshnā ai dost
turkī ho jā.egī tamām apnī
sar-e-tausan jo tū chaḌhā ai dost
afsar-o-taḳht kyā kare 'bāqī'
tere kūche kā hai gadā ai dost
dost se dushmani ye kya ai dost
mujh wafa-dost par jafa ai dost
tang hai aur arsa-e-alam
tera kucha hai dil-kusha ai dost
tar hua sun ke abr-e-dariya-bar
mere ashkon ka majra ai dost
turk-e-mardum-shikar hain wallah
teri aankhen hain kya bala ai dost
tinke chunta hun munh hua hai zard
gham se hun rashk-e-kahruba ai dost
tap-e-soz-e-darun se marta hun
ishq hai dard-e-la-dawa ai dost
hum se nafrat hai dushmanon se rabt
hue begane aashna ai dost
turki ho jaegi tamam apni
sar-e-tausan jo tu chaDha ai dost
afsar-o-taKHt kya kare 'baqi'
tere kuche ka hai gada ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.