dosti kar na dushmani ke liye
dosti kar na dushmani ke liye
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
dostī kar na dushmanī ke liye
ādamiyyat hai aadmī ke liye
ye musāvāt kaisī gulshan meñ
log tarseñ kalī kalī ke liye
ġhāfilo jānte ho ramz-e-hayāt
maut aatī hai zindagī ke liye
mast āñkhoñ se dekh ai saaqī
kuchh to thoḌī sī be-ḳhudī ke liye
rang-e-mahfil badal na jaa.e kahīñ
jalve hote nahīñ sabhī ke liye
apnī āñkhoñ se kuchh atā kar do
asar-e-sehr-e-sāmrī ke liye
azmat-e-ādmī na pūchh 'ahsan'
ka.abe jhukte haiñ bandagī ke liye
dosti kar na dushmani ke liye
aadamiyyat hai aadmi ke liye
ye musawat kaisi gulshan mein
log tarsen kali kali ke liye
ghafilo jaante ho ramz-e-hayat
maut aati hai zindagi ke liye
mast aankhon se dekh ai saqi
kuchh to thoDi si be-KHudi ke liye
rang-e-mahfil badal na jae kahin
jalwe hote nahin sabhi ke liye
apni aankhon se kuchh ata kar do
asar-e-sehr-e-samri ke liye
azmat-e-admi na puchh 'ahsan'
kabe jhukte hain bandagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.