dosti ki justuju hai shahr mein
dostī kī justujū hai shahr meñ
ham bhī motī DhūñDte haiñ nahr meñ
ġhaur se dekhā to har ḳhurshed chāñd
tab-e-raushan kitnī kam hai dahr meñ
jab bhī chāhā chal paḌī maazī kī film
aisī qudrat yaad kī ik lahr meñ
jānte haiñ kuchh hameñ insāñ-zada
farq insāñ aur ḳhudā ke qahr meñ
shiddat-e-ehsās thī in.ām-e-ishq
shahd ab shīrīñ na talḳhī zahr meñ
ret par the kis qadar naqsh-e-jamīl
ho ga.e sab jazb chaḌhtī lahr meñ
dosti ki justuju hai shahr mein
hum bhi moti DhunDte hain nahr mein
ghaur se dekha to har KHurshed chand
tab-e-raushan kitni kam hai dahr mein
jab bhi chaha chal paDi mazi ki film
aisi qudrat yaad ki ek lahr mein
jaante hain kuchh hamein insan-zada
farq insan aur KHuda ke qahr mein
shiddat-e-ehsas thi inam-e-ishq
shahd ab shirin na talKHi zahr mein
ret par the kis qadar naqsh-e-jamil
ho gae sab jazb chaDhti lahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.