dosti mein dil jo TuTa dushmani achchhi lagi
dostī meñ dil jo TuuTā dushmanī achchhī lagī
raushnī meñ luT ga.e to tīrgī achchhī lagī
dekh kar ūñche makānoñ meñ amīroñ ke chalan
ham ko apnī jhoñpḌī meñ muflisī achchhī lagī
zindagī se koī dilchaspī na thī ham ko magar
hādse meñ bach ga.e to zindagī achchhī lagī
ḳhair se us kī javāñ beTī jo ruḳhsat ho ga.ī
aaj barsoñ baad us ko niiñd bhī achchhī lagī
thā hamāre saath manzil kā tasavvur ai 'shakīl'
dopahar kī chilchilātī dhuup bhī achchhī lagī
dosti mein dil jo TuTa dushmani achchhi lagi
raushni mein luT gae to tirgi achchhi lagi
dekh kar unche makanon mein amiron ke chalan
hum ko apni jhonpDi mein muflisi achchhi lagi
zindagi se koi dilchaspi na thi hum ko magar
hadse mein bach gae to zindagi achchhi lagi
KHair se us ki jawan beTi jo ruKHsat ho gai
aaj barson baad us ko nind bhi achchhi lagi
tha hamare sath manzil ka tasawwur ai 'shakil'
dopahar ki chilchilati dhup bhi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.