dosti ya rabt agar baham rahe
dostī yā rabt agar bāham rahe
aadmī kyoñ mubtalā-e-ġham rahe
un ke aage sar kisī kā ḳham rahe
shaiḳh kyoñ is baat se barham rahe
ain mumkin hai ki roz-e-hashr tak
kushtgān-e-ishq kā mātam rahe
dard paate haiñ jo lazzat se unheñ
kyoñ talāsh-e-chāra-e-marham rahe
zindagī par ik nikhār aa jā.egā
ġham masarrat meñ agar mudġham rahe
ho sake us se na hargiz āshnā
muddatoñ jis baaġh meñ aadam rahe
dosti ya rabt agar baham rahe
aadmi kyon mubtala-e-gham rahe
un ke aage sar kisi ka KHam rahe
shaiKH kyon is baat se barham rahe
ain mumkin hai ki roz-e-hashr tak
kushtgan-e-ishq ka matam rahe
dard pate hain jo lazzat se unhen
kyon talash-e-chaara-e-marham rahe
zindagi par ek nikhaar aa jaega
gham masarrat mein agar mudgham rahe
ho sake us se na hargiz aashna
muddaton jis bagh mein aadam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.