doston ka zikr kya dushman hain jab badle hue
dostoñ kā zikr kyā dushman haiñ jab badle hue
shahr meñ to ab nazar aate haiñ sab badle hue
ziist ke advār kitne muḳhtalif se ho ga.e
saal o mah Thahre hue aur roz o shab badle hue
kis kī dil-jūī kareñ kis ko mubārakbād deñ
jab ḳhushī aur ġham ke huuñ yaksar sabab badle hue
ik purānā rāsta ab kis tarah DhūñDe koī
shahr bhar ke sab galī-kūche hoñ jab badle hue
roz o shab kī gardisheñ dil ko badal paa.ī nahīñ
ā.īñe meñ garche haiñ ruḳhsār o lab badle hue
doston ka zikr kya dushman hain jab badle hue
shahr mein to ab nazar aate hain sab badle hue
zist ke adwar kitne muKHtalif se ho gae
sal o mah Thahre hue aur roz o shab badle hue
kis ki dil-jui karen kis ko mubarakbaad den
jab KHushi aur gham ke hun yaksar sabab badle hue
ek purana rasta ab kis tarah DhunDe koi
shahr bhar ke sab gali-kuche hon jab badle hue
roz o shab ki gardishen dil ko badal pai nahin
aaine mein garche hain ruKHsar o lab badle hue
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.