doston ki be-niyazi ko ada ka nam do
dostoñ kī be-niyāzī ko adā kā naam do
be-ruḳhī had se jo baḌh jaa.e anā kā naam do
dil ke gul-dāñ meñ sajāo taaza zaḳhmoñ ke gulāb
aur phir siine ko ik bāġh-e-vafā kā naam do
ashk-shoī meñ hathelī pe jo lag jaa.e lahū
us ko az-rāh-e-adab rañg-e-hinā kā naam do
dil ke dāġhoñ kā chaman har-dam mahaknā chāhiye
apnī aahoñ ke dhueñ ko tum sabā kā naam do
uTh na jaa.e bazm se phir e'tibār-e-dostāñ
un kī jānib se jafā ko bhī atā kā naam do
zarf kā me.aar apne tum kabhī girne na do
bevafā.ī bhī kare gar vo vafā kā naam do
maslahat hālāt kī majbūr gar 'zebā' kare
jo Dubo de naav us ko nāḳhudā kā naam do
doston ki be-niyazi ko ada ka nam do
be-ruKHi had se jo baDh jae ana ka nam do
dil ke gul-dan mein sajao taza zaKHmon ke gulab
aur phir sine ko ek bagh-e-wafa ka nam do
ashk-shoi mein hatheli pe jo lag jae lahu
us ko az-rah-e-adab rang-e-hina ka nam do
dil ke daghon ka chaman har-dam mahakna chahiye
apni aahon ke dhuen ko tum saba ka nam do
uTh na jae bazm se phir e'tibar-e-dostan
un ki jaanib se jafa ko bhi ata ka nam do
zarf ka mear apne tum kabhi girne na do
bewafai bhi kare gar wo wafa ka nam do
maslahat haalat ki majbur gar 'zeba' kare
jo Dubo de naw us ko naKHuda ka nam do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.