doston se koi gila hi nahin
dostoñ se koī gila hī nahīñ
ab mire paas kuchh bachā hī nahīñ
sab ke hoñToñ pe muskurāhaT hai
aisā lagtā hai kuchh huā hī nahīñ
kal to paane ko thā bahut lekin
aaj khone ko kuchh bachā hī nahīñ
valdiyat pūchhtā hai vo sab kī
jis ke māñ-bāp kā pata hī nahīñ
laakh chāhā yazīd ne lekin
ek sar thā ki jo jhukā hī nahīñ
yuuñ lagā hai mujhe miTāne par
jaise merā koī ḳhudā hī nahīñ
varna 'dīdār' kyā nahīñ hotā
koī tujh sā tujhe milā hī nahīñ
doston se koi gila hi nahin
ab mere pas kuchh bacha hi nahin
sab ke honTon pe muskurahaT hai
aisa lagta hai kuchh hua hi nahin
kal to pane ko tha bahut lekin
aaj khone ko kuchh bacha hi nahin
waldiyat puchhta hai wo sab ki
jis ke man-bap ka pata hi nahin
lakh chaha yazid ne lekin
ek sar tha ki jo jhuka hi nahin
yun laga hai mujhe miTane par
jaise mera koi KHuda hi nahin
warna 'didar' kya nahin hota
koi tujh sa tujhe mila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.