du’a-e-KHair ki phir kya kami hai
du’ā-e-ḳhair kī phir kyā kamī hai
du’ā-go jab husain ibn-e-‘alī hai
jise kahtī hai ye duniyā qanā'at
vo ham fāqa-kashoñ kī dastarī hai
hai ThanDī raakh kā chūlhā re'āyā
hukūmat kaaTh kī ik degchī hai
hai kuchh merī tabī'at bhī shagufta
vo laḌkī bhī zarā sī chulbulī hai
haiñ raqsāñ Tokrī ko dekh lahreñ
ye Thākur jī kī pahlī aartī hai
ka.ī netāoñ se chakkar hai us kā
sahāfat bad-chalan aurat hai jī hai
mirā pardes jaanā tai hai yaaro
ġharībī daur-e-nau kī kaika.ī hai
na in hoñToñ meñ ras hai pahle jaisā
na bākhar-ḳhāniyoñ meñ chāshnī hai
mirī āñkhoñ ke kaan uktā ga.e haiñ
tirī tasvīr kitnā boltī hai
du’a-e-KHair ki phir kya kami hai
du’a-go jab husain ibn-e-‘ali hai
jise kahti hai ye duniya qana'at
wo hum faqa-kashon ki dastari hai
hai ThanDi rakh ka chulha re'aya
hukumat kaTh ki ek degchi hai
hai kuchh meri tabi'at bhi shagufta
wo laDki bhi zara si chulbuli hai
hain raqsan Tokri ko dekh lahren
ye Thakur ji ki pahli aarti hai
kai netaon se chakkar hai us ka
sahafat bad-chalan aurat hai ji hai
mera pardes jaana tai hai yaro
gharibi daur-e-nau ki kaikai hai
na in honTon mein ras hai pahle jaisa
na bakhar-KHaniyon mein chashni hai
meri aankhon ke kan ukta gae hain
teri taswir kitna bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.