dua ko hathon mein le kar ghuma ke chhoD diya
du'ā ko hāthoñ meñ le kar ghumā ke chhoḌ diyā
ki jaise mujh ko ḳhudā ne banā ke chhoḌ diyā
akele rahte ho achchhā hai sach kahūñ us ne
jise gale se lagāyā lagā ke chhoḌ diyā
tumhārī yaad jahāñ raqs karne vaalī thī
ye dil vahīñ pe bichhāyā bichhā ke chhoḌ diyā
havā kā qarz chukāne ko ghar ke tinkoñ par
charāġh maiñ ne jalāyā jalā ke chhoḌ diyā
tire faqīr ne har raah se guzarte hue
zamīñ se jis ko uThāyā uThā ke chhoḌ diyā
mire nasīb pe jab dastaḳhat kiye ġham ne
ḳhushī ko dil se uḌāyā uḌā ke chhoḌ diyā
jahāñ rihā.ī kā manzar thā is kahānī meñ
kisī ne parda girāyā girā ke chhoḌ diyā
'adīm' koī bhī kāñdhā na thā sahāre ko
mujhe to sab ne rulāyā rulā ke chhoḌ diyā
du'a ko hathon mein le kar ghuma ke chhoD diya
ki jaise mujh ko KHuda ne bana ke chhoD diya
akele rahte ho achchha hai sach kahun us ne
jise gale se lagaya laga ke chhoD diya
tumhaari yaad jahan raqs karne wali thi
ye dil wahin pe bichhaya bichha ke chhoD diya
hawa ka qarz chukane ko ghar ke tinkon par
charagh main ne jalaya jala ke chhoD diya
tere faqir ne har rah se guzarte hue
zamin se jis ko uThaya uTha ke chhoD diya
mere nasib pe jab dastaKHat kiye gham ne
KHushi ko dil se uDaya uDa ke chhoD diya
jahan rihai ka manzar tha is kahani mein
kisi ne parda giraya gira ke chhoD diya
'adim' koi bhi kandha na tha sahaare ko
mujhe to sab ne rulaya rula ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.