dua dil se nikalti hai to chandi Dal deta hai
duā dil se nikaltī hai to chāñdī Daal detā hai
ḳhudā chāhe to har siipī meñ motī Daal detā hai
rifāqat chāhiye to dostoñ se qarz mat lenā
ye rupya bhā.ī-chāre meñ burā.ī Daal detā hai
na jaane raushnī se rāhbar ko kyā adāvat hai
chamaktī chiiz miltī hai to miTTī Daal detā hai
ye kyā kam hai ki apnā rahnumā do din ke fāqoñ se
koī behosh ho jaa.e to paanī Daal detā hai
'qayām'-e-nā-tavāñ yuuñ to bahut dariyā se Dartā hai
magar saffāk lahreñ hoñ to kashtī Daal detā hai
dua dil se nikalti hai to chandi Dal deta hai
KHuda chahe to har sipi mein moti Dal deta hai
rifaqat chahiye to doston se qarz mat lena
ye rupya bhai-chaare mein burai Dal deta hai
na jaane raushni se rahbar ko kya adawat hai
chamakti chiz milti hai to miTTi Dal deta hai
ye kya kam hai ki apna rahnuma do din ke faqon se
koi behosh ho jae to pani Dal deta hai
'qayam'-e-na-tawan yun to bahut dariya se Darta hai
magar saffak lahren hon to kashti Dal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.