dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka
duā-e-nīm-shab āh-e-sahar soz-e-darūñ dil kā
masīhā bhī hai monis bhī hai marham bhī hai bismil kā
ilāhī merī ġharqābī meñ kis kā haath hai āḳhir
safīna kā havā kā fitna-zā maujoñ kā sāhil kā
hai merā zauq-e-rindī qaid har mausam se bālā-tar
na maiñ pāband saaqī kā na shīshe kā na mahfil kā
ḳhudā par hai mirā īmāñ qayāmat-ḳhez tūfāñ meñ
bharosa nāḳhudā kā hai na kashtī kā na sāhil kā
diyā karte haiñ aksar dāvat-e-fikr-e-suḳhan mujh ko
sahar shabnam shafaq taare tabassum māh-e-kāmil kā
ḳhirad vaale zarā ḳhud ThanDe dil se ġhaur farmā leñ
fuġhāñ fariyād mātam naala hal hai kyā masā.il kā
jise kahte haiñ manzil imtihāñ hai asl meñ 'jauhar'
umangoñ kā junūñ kā hausloñ kā azm-e-kāmil kā
dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka
masiha bhi hai monis bhi hai marham bhi hai bismil ka
ilahi meri gharqabi mein kis ka hath hai aaKHir
safina ka hawa ka fitna-za maujon ka sahil ka
hai mera zauq-e-rindi qaid har mausam se baala-tar
na main paband saqi ka na shishe ka na mahfil ka
KHuda par hai mera iman qayamat-KHez tufan mein
bharosa naKHuda ka hai na kashti ka na sahil ka
diya karte hain aksar dawat-e-fikr-e-suKHan mujh ko
sahar shabnam shafaq tare tabassum mah-e-kaamil ka
KHirad wale zara KHud ThanDe dil se ghaur farma len
fughan fariyaad matam nala hal hai kya masail ka
jise kahte hain manzil imtihan hai asl mein 'jauhar'
umangon ka junun ka hauslon ka azm-e-kaamil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.