dua ke sath gaya iKHtiyar bande ka
duā ke saath gayā iḳhtiyār bande kā
abhī talak nahīñ utrā ḳhumār bande kā
ye jāvedānī hadeñ rāste meñ paḌtī haiñ
dayār-e-izn nahīñ hai dayār bande kā
ridā-e-hijr muhayyā karo ki āb-e-ḳhvāb
tirī razā pe hai dār-o-madār bande kā
ye narm ghaas ye miTTī ye āsmān-e-ḳhāk
yahīñ kahīñ pe hai parvardigār bande kā
havā-e-shām meñ ḳhushbū ajiib hai 'jāved'
mazār hai isī dariyā ke paar bande kā
dua ke sath gaya iKHtiyar bande ka
abhi talak nahin utra KHumar bande ka
ye jawedani haden raste mein paDti hain
dayar-e-izn nahin hai dayar bande ka
rida-e-hijr muhayya karo ki aab-e-KHwab
teri raza pe hai dar-o-madar bande ka
ye narm ghas ye miTTi ye aasman-e-KHak
yahin kahin pe hai parwardigar bande ka
hawa-e-sham mein KHushbu ajib hai 'jawed'
mazar hai isi dariya ke par bande ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.