dua to mang dua mein asar nahin to na ho
dua to mang dua mein asar nahin to na ho
Tajammul Hussain Akhtar
MORE BYTajammul Hussain Akhtar
duā to maañg duā meñ asar nahīñ to na ho
vo sun rahā hai tujhe ye ḳhabar nahīñ to na ho
ubhar rahī hai nazar meñ tire ḳhayāl kī lau
ye raushnī hī bahut hai sahar nahīñ to na ho
ġhubār-e-rāh se raushan hai justujū kā charāġh
nazar ke sāmne manzil agar nahīñ to na ho
vo sāmne hai ye dil-bastagī bahut hai mujhe
hayā se gar mirī jānib nazar nahīñ to na ho
tirī galī se tire dar se ham to guzreñge
tire mizāj meñ gar dar-guzar nahīñ to na ho
sabā-sifat tirī mahfil meñ hai guzar apnā
tujhe ḳhabar ho to qismat ḳhabar nahīñ to na ho
tire ḳhayāl kī pinhā.iyoñ meñ dil gum hai
shab-e-firāq agar muḳhtasar nahīñ to na ho
bahut hai dil ke ujāle ko ik kiran 'aḳhtar'
tulūa vo jo misāl-e-qamar nahīñ to na ho
dua to mang dua mein asar nahin to na ho
wo sun raha hai tujhe ye KHabar nahin to na ho
ubhar rahi hai nazar mein tere KHayal ki lau
ye raushni hi bahut hai sahar nahin to na ho
ghubar-e-rah se raushan hai justuju ka charagh
nazar ke samne manzil agar nahin to na ho
wo samne hai ye dil-bastagi bahut hai mujhe
haya se gar meri jaanib nazar nahin to na ho
teri gali se tere dar se hum to guzrenge
tere mizaj mein gar dar-guzar nahin to na ho
saba-sifat teri mahfil mein hai guzar apna
tujhe KHabar ho to qismat KHabar nahin to na ho
tere KHayal ki pinhaiyon mein dil gum hai
shab-e-firaq agar muKHtasar nahin to na ho
bahut hai dil ke ujale ko ek kiran 'aKHtar'
tulua wo jo misal-e-qamar nahin to na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.