dua to rahti hai dast-e-dua nahin rahta
duā to rahtī hai dast-e-duā nahīñ rahtā
so tai huā mire ghar meñ ḳhudā nahīñ rahtā
maiñ aise dasht ko ābād karne vaalā huuñ
jahāñ pe koī bhī jugnū diyā nahīñ rahtā
tū aise dar pe khaḌā hai qasam isī dar kī
koī bhī shaḳhs yahāñ par khaḌā nahīñ rahtā
bichhaḌne vaalā mirā haath thaam kar bolā
koī makīñ kisī ghar meñ sadā nahīñ rahtā
ajiib ḳhauf hai jis kā vajūd hai hī nahīñ
kisī bhī ghar kā darīcha khulā nahīñ rahtā
hazār dil ko lubhāte hasīn manzar haiñ
koī bhī zaḳhm yahāñ par harā nahīñ rahtā
sarā-e-dil kā hai dastūr is jagah 'sābir'
kisī ke hote hue dūsrā nahīñ rahtā
dua to rahti hai dast-e-dua nahin rahta
so tai hua mere ghar mein KHuda nahin rahta
main aise dasht ko aabaad karne wala hun
jahan pe koi bhi jugnu diya nahin rahta
tu aise dar pe khaDa hai qasam isi dar ki
koi bhi shaKHs yahan par khaDa nahin rahta
bichhaDne wala mera hath tham kar bola
koi makin kisi ghar mein sada nahin rahta
ajib KHauf hai jis ka wajud hai hi nahin
kisi bhi ghar ka daricha khula nahin rahta
hazar dil ko lubhate hasin manzar hain
koi bhi zaKHm yahan par hara nahin rahta
sara-e-dil ka hai dastur is jagah 'sabir'
kisi ke hote hue dusra nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.