dua tumhein wo baDi lagegi jahan-bhar ki sabhi ata se
dua tumhein wo baDi lagegi jahan-bhar ki sabhi ata se
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
duā tumheñ vo baḌī lagegī jahān-bhar kī sabhī atā se
jab ik bhikārī jo bhiik le kar navāz degā tumheñ duā se
vo jis pitā kī tamām bāteñ burī lage haiñ jahān-bhar ko
magar ye samjho tumhārā jīvan harā-bharā hai usī pitā se
kabhī mashaqqat se yaar tum bhī ghaḌe meñ kankaḌ to bhar ke dekho
abhī nahīñ par kabhī to paanī bahegā uupar kisī ghaḌā se
na mil sake par mujhe shikāyat nahīñ hai koī ai ishq tum se
magar mirī jaañ yahāñ se jā kar laḌūñgā pahle maiñ us ḳhudā se
rahā nahīñ ab yahāñ pe kuchh bhī mire mutābiq to kyoñ rahūñ maiñ
to kyoñ mujhe ab farebī duniyā bachā rahī hai kisī davā se
mujhe bachāne kī chaah hai to use bulā kar yaqīñ dilāo
tire havāle tirā ye rogī ye Thiik hogā tirī sadā se
agarche pankhā ye chāhtā hai ki us pe koī to laash laTke
utaar do phir agar nahīñ hai zarā bhī matlab use havā se
dua tumhein wo baDi lagegi jahan-bhar ki sabhi ata se
jab ek bhikari jo bhik le kar nawaz dega tumhein dua se
wo jis pita ki tamam baaten buri lage hain jahan-bhar ko
magar ye samjho tumhaara jiwan hara-bhara hai usi pita se
kabhi mashaqqat se yar tum bhi ghaDe mein kankaD to bhar ke dekho
abhi nahin par kabhi to pani bahega upar kisi ghaDa se
na mil sake par mujhe shikayat nahin hai koi ai ishq tum se
magar meri jaan yahan se ja kar laDunga pahle main us KHuda se
raha nahin ab yahan pe kuchh bhi mere mutabiq to kyon rahun main
to kyon mujhe ab farebi duniya bacha rahi hai kisi dawa se
mujhe bachane ki chah hai to use bula kar yaqin dilao
tere hawale tera ye rogi ye Thik hoga teri sada se
agarche pankha ye chahta hai ki us pe koi to lash laTke
utar do phir agar nahin hai zara bhi matlab use hawa se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.