duaen mangne se peshtar mat bhul malika
duā.eñ māñgne se peshtar mat bhuul malika
ki taḳht-o-tāj to bas paañv kī haiñ dhuul malika
nikal ke tū mahal se roz pursā de sakegī
ye qatl-e-ām to hai roz kā ma.amūl malika
unheñ tāvān meñ āñkheñ adā karnī paḌī haiñ
yahāñ jo ḳhvāb bunñe meñ hue mashġhūl malika
use sairāb honā hai atā kī bārishoñ se
ki dil kī ḳhaak par ugte nahīñ haiñ phuul malika
mujhe ma.alūm haiñ sab sāzisheñ darbāriyoñ kī
mire katbe pe likkhā jā.egā maqtūl malika
mohabbat haar ke maiñ lag rahī huuñ aaj 'komal'
kisī ujḌī riyāsat kī koī ma.azūl malika
duaen mangne se peshtar mat bhul malika
ki taKHt-o-taj to bas panw ki hain dhul malika
nikal ke tu mahal se roz pursa de sakegi
ye qatl-e-am to hai roz ka mamul malika
unhen tawan mein aankhen ada karni paDi hain
yahan jo KHwab bunne mein hue mashghul malika
use sairab hona hai ata ki barishon se
ki dil ki KHak par ugte nahin hain phul malika
mujhe malum hain sab sazishen darbariyon ki
mere katbe pe likkha jaega maqtul malika
mohabbat haar ke main lag rahi hun aaj 'komal'
kisi ujDi riyasat ki koi mazul malika
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.