duhai dun ki khule zulm se bachae mujhe
duhā.ī duuñ ki khule zulm se bachā.e mujhe
koī nahīñ mire panje se jo chhuḌā.e mujhe
maiñ apne jism ke patthar ko Thokareñ mārūñ
magar ye shaġhl-e-aziyyat pasand aa.e mujhe
mire hī muñh ko mirā ḳhuun lag chukā hai yahāñ
mire sivā koī qātil nazar na aa.e mujhe
maiñ ishtihār lagā.ūñ badan pe ġhazloñ ke
vo chāhtā hai ki show-case meñ sajā.e mujhe
maiñ ḳhud bhī ape ishāroñ pe aaj tak na chalā
vo uñgliyoñ pe bhalā kis tarah nachā.e mujhe
maza to jab hai shuā.eñ bhī chhatriyāñ ban jaa.eñ
ḳhud āftāb chale le ke saa.e saa.e mujhe
badal chuke haiñ ravayye shikāyateñ kaisī
maiñ jis se bach ke chalūñ vo na muñh lagā.e mujhe
duhai dun ki khule zulm se bachae mujhe
koi nahin mere panje se jo chhuDae mujhe
main apne jism ke patthar ko Thokaren marun
magar ye shaghl-e-aziyyat pasand aae mujhe
mere hi munh ko mera KHun lag chuka hai yahan
mere siwa koi qatil nazar na aae mujhe
main ishtihaar lagaun badan pe ghazlon ke
wo chahta hai ki show-case mein sajae mujhe
main KHud bhi ape ishaaron pe aaj tak na chala
wo ungliyon pe bhala kis tarah nachae mujhe
maza to jab hai shuaen bhi chhatriyan ban jaen
KHud aaftab chale le ke sae sae mujhe
badal chuke hain rawayye shikayaten kaisi
main jis se bach ke chalun wo na munh lagae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.