dukh bhi sahe alam bhi sahe ranj bhi sahe
dukh bhī sahe alam bhī sahe ranj bhī sahe
phir bhī bashar ḳhudā ko ḳhudā māntā rahe
sab munhasir bashar pe hai vo kis tarah rahe
dukh zindagī ke ham ne to hañs-khel kar sahe
dar aa ga.ī hai zehn-e-bashar meñ ye soch kyā
dariyā sukhoñ kā us ke hī ghar kī taraf bahe
āñgan kā us ke peḌ phaloñ se ladā bhī ho
saaya bhī us kā ghar hī kī dīvār tak rahe
jhelī ho jis ne zindagī le le ke terā naam
tujh ko agar ḳhudā na kahe vo to kyā kahe
'rāhat' mileñge aur bhī kuchh qadr-dān-e-zīst
dekhā to kiije ḳhud se bhī haT kar gahe gahe
dukh bhi sahe alam bhi sahe ranj bhi sahe
phir bhi bashar KHuda ko KHuda manta rahe
sab munhasir bashar pe hai wo kis tarah rahe
dukh zindagi ke hum ne to hans-khel kar sahe
dar aa gai hai zehn-e-bashar mein ye soch kya
dariya sukhon ka us ke hi ghar ki taraf bahe
aangan ka us ke peD phalon se lada bhi ho
saya bhi us ka ghar hi ki diwar tak rahe
jheli ho jis ne zindagi le le ke tera nam
tujh ko agar KHuda na kahe wo to kya kahe
'rahat' milenge aur bhi kuchh qadr-dan-e-zist
dekha to kije KHud se bhi haT kar gahe gahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.