dukh-dard ki ghamgin katha hai ki ghazal hai
dukh-dard kī ġhamgīn kathā hai ki ġhazal hai
har lafz mire ġham kī sadā hai ki ġhazal hai
ġhazloñ meñ taġhazzul hai tire husn kā jalva
sheroñ meñ tirā ruup sajā hai ki ġhazal hai
mad.hosh sā lagtā hai mujhe merā har ik sher
ye terī mohabbat kā nasha hai ki ġhazal hai
mujh ko to yaqīñ hotā nahīñ hai ye abhī tak
logoñ se magar maiñ ne sunā hai ki ġhazal hai
alfāz kā jaadū hai ki hai sehr-bayānī
ġhazloñ meñ mirā dard chhupā hai ki ġhazal hai
kis darja hai raushan ye taḳhayyul kā ujālā
hairāñ haiñ sabhī jaltā diyā hai ki ġhazal hai
maiñ dekh rahā huuñ ye mire sāmne 'anvar'
darvāza-e-afkār khulā hai ki ġhazal hai
dukh-dard ki ghamgin katha hai ki ghazal hai
har lafz mere gham ki sada hai ki ghazal hai
ghazlon mein taghazzul hai tere husn ka jalwa
sheron mein tera rup saja hai ki ghazal hai
madhosh sa lagta hai mujhe mera har ek sher
ye teri mohabbat ka nasha hai ki ghazal hai
mujh ko to yaqin hota nahin hai ye abhi tak
logon se magar main ne suna hai ki ghazal hai
alfaz ka jadu hai ki hai sehr-bayani
ghazlon mein mera dard chhupa hai ki ghazal hai
kis darja hai raushan ye taKHayyul ka ujala
hairan hain sabhi jalta diya hai ki ghazal hai
main dekh raha hun ye mere samne 'anwar'
darwaza-e-afkar khula hai ki ghazal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.