dukh-dard liya hai gham-e-ayyam liya hai
dukh-dard liya hai gham-e-ayyam liya hai
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
dukh-dard liyā hai ġham-e-'ayyām liyā hai
dil de ke mohabbat meñ ye in'ām liyā hai
furqat meñ tasavvur se 'ajab kaam liyā hai
jaise tire dāman ko abhī thaam liyā hai
saaqī tirā sau martaba jab naam liyā hai
tab jā ke kahīñ haath meñ ik jaam liyā hai
kis kī nigah-e-nāz uThī hai sar-e-mahfil
har tālib-e-dīdār ne dil thaam liyā hai
jab yaad kiyā hai to tujhe yaad kiyā hai
jab naam liyā hai to tirā naam liyā hai
maanā ki gunahgār-e-vafā thā magar ab to
us ne tirā dāmān-e-karam thaam liyā hai
dukh-dard liya hai gham-e-'ayyam liya hai
dil de ke mohabbat mein ye in'am liya hai
furqat mein tasawwur se 'ajab kaam liya hai
jaise tere daman ko abhi tham liya hai
saqi tera sau martaba jab nam liya hai
tab ja ke kahin hath mein ek jam liya hai
kis ki nigah-e-naz uThi hai sar-e-mahfil
har talib-e-didar ne dil tham liya hai
jab yaad kiya hai to tujhe yaad kiya hai
jab nam liya hai to tera nam liya hai
mana ki gunahgar-e-wafa tha magar ab to
us ne tera daman-e-karam tham liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.