dukh-dard mere pas bhi jauhar ki tarah hain
dukh-dard mire paas bhī jauhar kī tarah haiñ
zulmat meñ vo qindīl-e-munavvar kī tarah haiñ
fōtpath pe rātoñ ko maza miltā hai ghar kā
ham din ke ujāle meñ to be-ghar kī tarah haiñ
Thahre haiñ magar aage hai chalne kā irāda
ham log yahāñ mīl-ke-patthar kī tarah haiñ
har mauj pe himmat mirī patvār hai lekin
ummīd kī āñkheñ to samundar kī tarah haiñ
chāheñge to qadmoñ pe ye duniyā bhī jhukegī
ham apne hī hāthoñ meñ muqaddar kī tarah haiñ
saḌkoñ pe nikal aa.eñ to āvāra na samjho
ham sīna-e-sahrā meñ kisī ghar kī tarah haiñ
dukh-dard mere pas bhi jauhar ki tarah hain
zulmat mein wo qindil-e-munawwar ki tarah hain
footpath pe raaton ko maza milta hai ghar ka
hum din ke ujale mein to be-ghar ki tarah hain
Thahre hain magar aage hai chalne ka irada
hum log yahan mil-ke-patthar ki tarah hain
har mauj pe himmat meri patwar hai lekin
ummid ki aankhen to samundar ki tarah hain
chahenge to qadmon pe ye duniya bhi jhukegi
hum apne hi hathon mein muqaddar ki tarah hain
saDkon pe nikal aaen to aawara na samjho
hum sina-e-sahra mein kisi ghar ki tarah hain
- Book : Ehsas ki Hijrat (Gazal Collection) (Pg. 25)
- Author : Zafar Imam
- Publication : Asri Sang-e-meel Publications, Patna (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.