dukh dard ranj-o-gham ka na koi malal kar
dukh dard ranj-o-ġham kā na koī malāl kar
hotā hai sab ḳhudā kī taraf se ḳhayāl kar
dushvār hai ye chiiz bhī rakhnā sañbhāl kar
pahlū se de rahā huuñ maiñ dil ko nikāl kar
maazī to ḳhair lauT ke aane se ab rahā
behtar hai mere dost yahī fikr-e-hāl kar
majrūh is se hotā hai apnā vaqār bhī
mushkil meñ dostoñ se na koī savāl kar
Das legā ek roz use hī ḳhabar nahīñ
jo saañp āstīn meñ rakhtā hai paal kar
jis kī sharāfatoñ kī qasam khā rahe the log
vo baat bhī kare hai to ḳhanjar nikāl kar
kahnā hai jo bhī 'shamsī' kaho us ke rū-ba-rū
kyā fā.eda hai baad meñ kīchaḌ uchhāl kar
dukh dard ranj-o-gham ka na koi malal kar
hota hai sab KHuda ki taraf se KHayal kar
dushwar hai ye chiz bhi rakhna sanbhaal kar
pahlu se de raha hun main dil ko nikal kar
mazi to KHair lauT ke aane se ab raha
behtar hai mere dost yahi fikr-e-haal kar
majruh is se hota hai apna waqar bhi
mushkil mein doston se na koi sawal kar
Das lega ek roz use hi KHabar nahin
jo sanp aastin mein rakhta hai pal kar
jis ki sharafaton ki qasam kha rahe the log
wo baat bhi kare hai to KHanjar nikal kar
kahna hai jo bhi 'shamsi' kaho us ke ru-ba-ru
kya faeda hai baad mein kichaD uchhaal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.