dukh ka mantar paDhi hui hun
dukh kā mantar paḌhī huī huuñ
maiñ ġhurbat meñ baḌī huī huuñ
in meñ vaqt hī zaa.e.a hogā
jin bātoñ meñ paḌī huī huuñ
raaj siñghāsan hai ye merā
yā suulī par chaḌhī huī huuñ
aadhī ret se bāhar huuñ maiñ
aadhī ret meñ gaḌhī huī huuñ
aadhī maan chukī huuñ us kī
aadhī baat pe aḌī huī huuñ
mujh ko girānā sahl nahīñ hai
apne sahāre khaḌī huī huuñ
dukh ka mantar paDhi hui hun
main ghurbat mein baDi hui hun
in mein waqt hi zaea hoga
jin baaton mein paDi hui hun
raj singhasan hai ye mera
ya suli par chaDhi hui hun
aadhi ret se bahar hun main
aadhi ret mein gaDhi hui hun
aadhi man chuki hun us ki
aadhi baat pe aDi hui hun
mujh ko girana sahl nahin hai
apne sahaare khaDi hui hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.