Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh ki diwar girane se rahi

Hira Qasmi

dukh ki diwar girane se rahi

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    dukh dīvār girāne se rahī

    ya.anī maiñ ḳhud ko bachāne se rahī

    chhoḌ jā.egī ye reza kar ke

    zindagī saath nibhāne se rahī

    dil ne sochā hai tirī vahshat ko

    so mujhe niiñd to aane se rahī

    dard hote chhalak jā.eñge

    ashk āñkhoñ meñ chhupāne se rahī

    ḳhud ahvāl samajh le merā

    maiñ tujhe dil to dikhāne se rahī

    duur ho jaa.eñ añdhere mujh se

    aisī qindīl jalāne se rahī

    ab yahāñ ahl-e-sitam rahte haiñ

    ab maiñ zanjīr hilāne se rahī

    log mahrūm-e-samā.at haiñ ‘hirā’

    hāl-e-ġham un ko sunāne se rahī

    dukh ki diwar girane se rahi

    yani main KHud ko bachane se rahi

    chhoD jaegi ye reza kar ke

    zindagi sath nibhane se rahi

    dil ne socha hai teri wahshat ko

    so mujhe nind to aane se rahi

    dard hote hi chhalak jaenge

    ashk aankhon mein chhupane se rahi

    KHud hi ahwal samajh le mera

    main tujhe dil to dikhane se rahi

    dur ho jaen andhere mujh se

    aisi qindil jalane se rahi

    ab yahan ahl-e-sitam rahte hain

    ab main zanjir hilane se rahi

    log mahrum-e-samaat hain ‘hira’

    haal-e-gham un ko sunane se rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now