dukh ki diwar girane se rahi
dukh kī dīvār girāne se rahī
yā'nī maiñ ḳhud ko bachāne se rahī
chhoḌ jā.egī ye reza kar ke
zindagī saath nibhāne se rahī
dil ne sochā hai tirī vahshat ko
so mujhe niiñd to aane se rahī
dard hote hī chhalak jā.eñge
ashk āñkhoñ meñ chhupāne se rahī
ḳhud hī ahvāl samajh le merā
maiñ tujhe dil to dikhāne se rahī
duur ho jaa.eñ añdhere mujh se
aisī qindīl jalāne se rahī
ab yahāñ ahl-e-sitam rahte haiñ
ab maiñ zanjīr hilāne se rahī
log mahrūm-e-samā.at haiñ 'hirā'
hāl-e-ġham un ko sunāne se rahī
dukh ki diwar girane se rahi
ya'ni main KHud ko bachane se rahi
chhoD jaegi ye reza kar ke
zindagi sath nibhane se rahi
dil ne socha hai teri wahshat ko
so mujhe nind to aane se rahi
dard hote hi chhalak jaenge
ashk aankhon mein chhupane se rahi
KHud hi ahwal samajh le mera
main tujhe dil to dikhane se rahi
dur ho jaen andhere mujh se
aisi qindil jalane se rahi
ab yahan ahl-e-sitam rahte hain
ab main zanjir hilane se rahi
log mahrum-e-samaat hain 'hira'
haal-e-gham un ko sunane se rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.