dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein
dukh uThāo kitne hī ghar bahār karne meñ
ek pal nahīñ lagtā phuul sab bikharne meñ
zindagī ho kaisī bhī us se jī nahīñ bhartā
varna sirf hotā hai kitnā vaqt marne meñ
khiḌkiyāñ huiiñ ḳhālī phūloñ aur charāġhoñ se
kaisā dil taḌaptā hai shahr se guzarne meñ
vaqt zaḳhm bhartā hai aur yuuñ bhī hotā hai
umr biit jaatī hai ek zaḳhm bharne meñ
sab kī baat dohrānā yuuñ to rasm-e-duniyā hai
lutf aur hai lekin apnī baat karne meñ
jā basī hai vo laḌkī shahr meñ magar ab bhī
gūñjte haiñ giit us ke har pahāḌī jharne meñ
dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein
ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein
zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta
warna sirf hota hai kitna waqt marne mein
khiDkiyan huin KHali phulon aur charaghon se
kaisa dil taDapta hai shahr se guzarne mein
waqt zaKHm bharta hai aur yun bhi hota hai
umr bit jati hai ek zaKHm bharne mein
sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai
lutf aur hai lekin apni baat karne mein
ja basi hai wo laDki shahr mein magar ab bhi
gunjte hain git us ke har pahaDi jharne mein
- Book : Khizan mera Mosam (Pg. 171)
- Author : Hassan Akbar Kamal
- Publication : Seep Publications, karachi (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.