dukh zara kya mila mohabbat mein
dukh zarā kyā milā mohabbat meñ
bas jhalakne lagā ibārat meñ
kaise kaise savāl kartā hai
ek pāgal tirī hirāsat meñ
kyuuñ nahīñ ho rahā asar is par
kyā bulūġhat nahīñ balāġhat meñ
lams terā davā thā jiine kī
maiñ to maarā gayā sharāfat meñ
aisī aadat huī asīrī kī
chain paḌtā nahīñ farāġhat meñ
ye jo hizyān bak rahe ho tum
ishq kī ho miyāñ harārat meñ
maiñ dhueñ se lipaT gayā baḌh kar
jo uThā thā tirī shabāhat meñ
dukh zara kya mila mohabbat mein
bas jhalakne laga ibarat mein
kaise kaise sawal karta hai
ek pagal teri hirasat mein
kyun nahin ho raha asar is par
kya bulughat nahin balaghat mein
lams tera dawa tha jine ki
main to mara gaya sharafat mein
aisi aadat hui asiri ki
chain paDta nahin faraghat mein
ye jo hizyan bak rahe ho tum
ishq ki ho miyan hararat mein
main dhuen se lipaT gaya baDh kar
jo uTha tha teri shabahat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.