dukhon mein uske izafa bhi main hi karta hun
dukhoñ meñ us ke izāfa bhī maiñ hī kartā huuñ
aur is kamī kā izāla bhī maiñ hī kartā huuñ
zarā bahut mirī jhunjhlāhaTeñ bhī jaa.ez haiñ
ki mad.h-e-sāhab-e-vālā bhī maiñ hī kartā huuñ
ḳhushī ke ḳhvāb sajātā zarūr huuñ lekin
saf-e-malāl ko sīdhā bhī maiñ hī kartā huuñ
na apne fe.al kā ġham hai na apne qaul kā dukh
nibāhtā huuñ to va.ada bhī maiñ hī kartā huuñ
tire visāl kī ḳhushbū bhī sirf merī hai
tire baġhair guzārā bhī maiñ hī kartā huuñ
dukhon mein us ke izafa bhi main hi karta hun
aur is kami ka izala bhi main hi karta hun
zara bahut meri jhunjhlahaTen bhi jaez hain
ki madh-e-sahab-e-wala bhi main hi karta hun
KHushi ke KHwab sajata zarur hun lekin
saf-e-malal ko sidha bhi main hi karta hun
na apne feal ka gham hai na apne qaul ka dukh
nibahta hun to wada bhi main hi karta hun
tere visal ki KHushbu bhi sirf meri hai
tere baghair guzara bhi main hi karta hun
- Book : Tashkeel (QUARTERLY) (Pg. 198)
- Author : Ahmed Himeesh
- Publication : Tashkeel Publishers, Karachi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.