duniya ajib khel tamasha lage mujhe
duniyā ajiib khel tamāshā lage mujhe
har aadmī hujūm meñ tanhā lage mujhe
gūñge mujāhidoñ kā ye Thahrā huā julūs
parchhā.iyoñ kā ek jazīra lage mujhe
bāzār-e-sañg-o-ḳhisht meñ sau nāzukī ke saath
apnī hayāt kāñch kī guḌiyā lage mujhe
sūraj-mukhī kī tarah badaltī hai ruḳh hayāt
jab āftāb-e-vaqt ubhartā lage mujhe
is darja mauj-e-ḳhūñ hai ragoñ meñ sharar-fishāñ
umr-e-ravāñ to aag kā dariyā lage mujhe
pau phūTte hī duur nikal jā.ūñgā 'sahar'
sansār ek rain-baserā lage mujhe
duniya ajib khel tamasha lage mujhe
har aadmi hujum mein tanha lage mujhe
gunge mujahidon ka ye Thahra hua julus
parchhaiyon ka ek jazira lage mujhe
bazar-e-sang-o-KHisht mein sau nazuki ke sath
apni hayat kanch ki guDiya lage mujhe
suraj-mukhi ki tarah badalti hai ruKH hayat
jab aaftab-e-waqt ubharta lage mujhe
is darja mauj-e-KHun hai ragon mein sharar-fishan
umr-e-rawan to aag ka dariya lage mujhe
pau phuTte hi dur nikal jaunga 'sahar'
sansar ek rain-basera lage mujhe
- Book : Sahil se duur (Pg. 31)
- Author : Shamshaad sahar
- Publication : Urdu Markaz, 15 chajju Bag, Patna (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.