duniya apni chhoTi si
duniyā apnī chhoTī sī
sar par gaThrī chhoTī sī
aglī saḌak kā āḳhirī ghar
ghar meñ khiḌkī chhoTī sī
kaise ujḌī kise ḳhabar
dil kī nagrī chhoTī sī
kis sahrā kī nazr huī
ek nadī thī chhoTī sī
kāñdhoñ par jug bhar kā dukh
sar par gagrī chhoTī sī
us ke hoñToñ par ābād
ek duā thī chhoTī sī
haath meñ ik bhārī basta
aur ik taḳhtī chhoTī sī
aao use bhī yaad kareñ
niiñd kī bastī chhoTī sī
nainital kī bārish tez
aur ye chhatrī chhoTī sī
duniya apni chhoTi si
sar par gaThri chhoTi si
agli saDak ka aaKHiri ghar
ghar mein khiDki chhoTi si
kaise ujDi kise KHabar
dil ki nagri chhoTi si
kis sahra ki nazr hui
ek nadi thi chhoTi si
kandhon par jug bhar ka dukh
sar par gagri chhoTi si
us ke honTon par aabaad
ek dua thi chhoTi si
hath mein ek bhaari basta
aur ek taKHti chhoTi si
aao use bhi yaad karen
nind ki basti chhoTi si
nainital ki barish tez
aur ye chhatri chhoTi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.