duniya badal bhi sakti hai koshish to yar kar
duniyā badal bhī saktī hai koshish to yaar kar
ḳhud par to e.atibār zarā ek baar kar
dil de rahā thā us ko tabhī hosh ne kahā
itnī hasīn chiiz kā mat kārobār kar
jhūTā agar ho yaar to har va.ada toḌ de
sachchā lage to jaan bhī us par nisār kar
ab tak tire hijāb se thī be-qarāriyāñ
ab be-hijāb ho ke zarā be-qarār kar
maiñ aam aadmī huuñ nahīñ piir auliyā
merī har ek baat pe mat e.atibār kar
duniyā ne aisā zaḳhm diyā bhar sakā na jo
duniyā ko apnā zaḳhm dikhā sharmsār kar
duniya badal bhi sakti hai koshish to yar kar
KHud par to eatibar zara ek bar kar
dil de raha tha us ko tabhi hosh ne kaha
itni hasin chiz ka mat karobar kar
jhuTa agar ho yar to har wada toD de
sachcha lage to jaan bhi us par nisar kar
ab tak tere hijab se thi be-qarariyan
ab be-hijab ho ke zara be-qarar kar
main aam aadmi hun nahin pir auliya
meri har ek baat pe mat eatibar kar
duniya ne aisa zaKHm diya bhar saka na jo
duniya ko apna zaKHm dikha sharmsar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.