duniya bhar ki baaten sahte rahte the
duniyā bhar kī bāteñ sahte rahte the
āñsū-vāñsū yūñhī bahte rahte the
yuuñ to chāñd thī pūnam kā par sab laḌke
ḳhushbū ḳhushbū us ko kahte rahte the
us ne hī gāloñ pe thappaḌ maar diyā
jis kī ḳhātir jhagḌe karte rahte the
dost bahut the yuuñ to mere paas magar
us ko sab se achchhā kahte rahte the
ishq meñ apnī jhuk jaane kī aadat thī
us kā har ġham hans ke sahte rahte the
duniya bhar ki baaten sahte rahte the
aansu-wansu yunhi bahte rahte the
yun to chand thi punam ka par sab laDke
KHushbu KHushbu us ko kahte rahte the
us ne hi galon pe thappaD mar diya
jis ki KHatir jhagDe karte rahte the
dost bahut the yun to mere pas magar
us ko sab se achchha kahte rahte the
ishq mein apni jhuk jaane ki aadat thi
us ka har gham hans ke sahte rahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.