duniya-dari ke chakkar mein dekho kya kya bhul gae
duniya-dari ke chakkar mein dekho kya kya bhul gae
Anjana Singh Sengar
MORE BYAnjana Singh Sengar
duniyā-dārī ke chakkar meñ dekho kyā kyā bhuul ga.e
jhūThe rishte yaad rahe sab sachchā rishta bhuul ga.e
tum us din kuchh kahne vaale the mujh se batlāo ab
achchhā Thahro batlātā huuñ aur phir kahnā bhuul ga.e
jis raste par sau aafat hai ham ne use ābād kiyā
jo dil se dil tak jaatā thā sīdhā rasta bhuul ga.e
un bāhoñ ko yaad nahīñ kyā un kī zimme-dārī thī
is tan ko bhī yaad nahīñ hai kyoñ ham sajnā bhuul ga.e
aaj mileñge to kah deñge man meñ rakkhī sab bāteñ
kitnā kuchh us se kahnā thā lekin kahnā bhuul ga.e
dil se dil tak jaane meñ āsānī thī so chale ga.e
jaanā hī bas yaad rahā hai lauT ke aanā bhuul ga.e
ġhalatī kar ke aḳhbāroñ meñ chhapvāne kā fashion hai
apne kiye par ham sharmānā aur pachhtānā bhuul ga.e
sulh-safā.ī 'anjanā' maiñ ne us se kar to lī lekin
dil bhī thā nārāz bahut us ko samjhānā bhuul ga.e
duniya-dari ke chakkar mein dekho kya kya bhul gae
jhuThe rishte yaad rahe sab sachcha rishta bhul gae
tum us din kuchh kahne wale the mujh se batlao ab
achchha Thahro batlata hun aur phir kahna bhul gae
jis raste par sau aafat hai hum ne use aabaad kiya
jo dil se dil tak jata tha sidha rasta bhul gae
un bahon ko yaad nahin kya un ki zimme-dari thi
is tan ko bhi yaad nahin hai kyon hum sajna bhul gae
aaj milenge to kah denge man mein rakkhi sab baaten
kitna kuchh us se kahna tha lekin kahna bhul gae
dil se dil tak jaane mein aasani thi so chale gae
jaana hi bas yaad raha hai lauT ke aana bhul gae
ghalati kar ke aKHbaron mein chhapwane ka fashion hai
apne kiye par hum sharmana aur pachhtana bhul gae
sulh-safai 'anjana' main ne us se kar to li lekin
dil bhi tha naraaz bahut us ko samjhana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.