duniya-e-alam sah kar kya ye bhi hai kam KHush hain
duniyā-e-alam sah kar kyā ye bhī hai kam ḳhush haiñ
is mom ke putle meñ jab tak hai ye dam ḳhush haiñ
aañsū hī to bahte haiñ bahte haiñ to bahne do
bas itnā samajh liije ham terī qasam ḳhush haiñ
ham terī atāoñ kā shikva bhī nahīñ karte
jis haal meñ tū rakkhe us haal meñ ham ḳhush haiñ
dekhe to bhalā koī donoñ ke sitam dekhe
vo kar ke sitam ḳhush haiñ ham sah ke sitam ḳhush haiñ
is baat pe rote haiñ is baat kā ronā hai
vo toḌ ke 'ābid' kī chāhat ke bharam ḳhush haiñ
duniya-e-alam sah kar kya ye bhi hai kam KHush hain
is mom ke putle mein jab tak hai ye dam KHush hain
aansu hi to bahte hain bahte hain to bahne do
bas itna samajh lije hum teri qasam KHush hain
hum teri ataon ka shikwa bhi nahin karte
jis haal mein tu rakkhe us haal mein hum KHush hain
dekhe to bhala koi donon ke sitam dekhe
wo kar ke sitam KHush hain hum sah ke sitam KHush hain
is baat pe rote hain is baat ka rona hai
wo toD ke 'abid' ki chahat ke bharam KHush hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.