duniya-e-be-libas hai is intizar mein
duniyā-e-be-libās hai is intizār meñ
dekhe hameñ bhī pairahan-e-tār-tār meñ
laatā hai kaun shor-e-nafas ko shumār meñ
sab jī rahe haiñ ālam-e-nā-pā.edār meñ
bhaTke tamām umr to ye munkashif huā
ham harf-e-rā.egāñ the ḳhat-e-intishār meñ
āñkheñ na thiiñ to vo bhī nazar se utar ga.e
kyā kyā hasīn ḳhvāb the is jalva-zār meñ
sūraj ne din tamām kiyā thak ke so gayā
maiñ ghūmtā rahā magar apne madār meñ
vahm-o-gumāñ kī tez havā.eñ haiñ mushta.il
raushan hai ik charāġh dar-e-e.atibār meñ
kaaTe the us ne shaġhl-e-samā.at meñ rāt-din
kyā thā hamāre tazkira-e-kam-ayār meñ
jaa.eñ kidhar ki raah koī sūjhtī nahīñ
raste meñ sab aTe hue gard-o-ġhubār meñ
muddat huī maiñ niiñd se jaagā nahīñ 'ziyā'
kis ne mujhe uchhāl diyā tiira ġhaar meñ
duniya-e-be-libas hai is intizar mein
dekhe hamein bhi pairahan-e-tar-tar mein
lata hai kaun shor-e-nafas ko shumar mein
sab ji rahe hain aalam-e-na-paedar mein
bhaTke tamam umr to ye munkashif hua
hum harf-e-raegan the KHat-e-intishaar mein
aankhen na thin to wo bhi nazar se utar gae
kya kya hasin KHwab the is jalwa-zar mein
suraj ne din tamam kiya thak ke so gaya
main ghumta raha magar apne madar mein
wahm-o-guman ki tez hawaen hain mushtail
raushan hai ek charagh dar-e-eatibar mein
kaTe the us ne shaghl-e-samaat mein raat-din
kya tha hamare tazkira-e-kam-ayar mein
jaen kidhar ki rah koi sujhti nahin
raste mein sab aTe hue gard-o-ghubar mein
muddat hui main nind se jaga nahin 'ziya'
kis ne mujhe uchhaal diya tera ghaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.