duniya-e-dil sajaun agar mera bas chale
duniyā-e-dil sajā.ūñ agar merā bas chale
apnā tumheñ banā.ūñ agar merā bas chale
hai koī baat jis se huuñ vārafta-e-ḳhayāl
tum ko na bhuul jā.ūñ agar merā bas chale
ye ajnabī hayāt ye paiham shikast-e-dil
har shai ko bhuul jā.ūñ agar merā bas chale
har chand arz-e-shauq hai pāband-e-ehtiyāt
sab kuchh tumheñ sunā.ūñ agar merā bas chale
dar-asl ik azāb-e-musalsal hai zindagī
duniyā se lauT jā.ūñ agar merā bas chale
merī vafā ko aap ne to aazmā liyā
maiñ bhī to āzmā.ūñ agar merā bas chale
merī tabāhiyoñ pe haiñ ahbāb ḳhanda-zan
maiñ ḳhud na muskurā.ūñ agar merā bas chale
vaj.h-e-sukūn-e-zīst hai 'rif.at' fareb-e-dost
phir se fareb khā.ūñ agar merā bas chale
duniya-e-dil sajaun agar mera bas chale
apna tumhein banaun agar mera bas chale
hai koi baat jis se hun warafta-e-KHayal
tum ko na bhul jaun agar mera bas chale
ye ajnabi hayat ye paiham shikast-e-dil
har shai ko bhul jaun agar mera bas chale
har chand arz-e-shauq hai paband-e-ehtiyat
sab kuchh tumhein sunaun agar mera bas chale
dar-asl ek azab-e-musalsal hai zindagi
duniya se lauT jaun agar mera bas chale
meri wafa ko aap ne to aazma liya
main bhi to aazmaun agar mera bas chale
meri tabahiyon pe hain ahbab KHanda-zan
main KHud na muskuraun agar mera bas chale
wajh-e-sukun-e-zist hai 'rifat' fareb-e-dost
phir se fareb khaun agar mera bas chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.