duniya-e-haqiqat se wo begana nahin hai
duniyā-e-haqīqat se vo begāna nahīñ hai
dīvāna jise kahte ho dīvāna nahīñ hai
labrez junūñ kā abhī paimāna nahīñ hai
nazroñ se ayaañ laġhzish-e-mastāna nahīñ hai
bas hāsil-e-kaunain ise yaad hai un kī
mānūs-e-do-ālam dil-e-dīvāna nahīñ hai
bikhre hue taare haiñ jigar-chāk gul-e-tar
kyā ye mirī barbādī kā afsāna nahīñ hai
ik parda-e-mahbūb hai ik rāz-e-haqīqat
dīvāna kisī rang se dīvāna nahīñ hai
rahne do hijāb-e-ġham-e-dil meñ ise pinhāñ
is bazm ke qābil mirā afsāna nahīñ hai
jo kaif-e-alam bārish-e-ġham se ho gurezāñ
jo dard se ghabrā.e vo dīvāna nahīñ hai
tarkīb badal jaa.e to ho jaa.e haqīqat
unvān badal jaa.e to afsāna nahīñ hai
hai tum se shikāyat kā irāda sar-e-mahfil
andāz magar dil kā harīfāna nahīñ hai
jo mujh se gunahgār ko firdaus na baḳhshe
aisī to tirī shān-e-karīmāna nahīñ hai
kyā haq hai 'vakīl' us ko mohabbat meñ jiye vo
jo un ke liye ishq meñ dīvāna nahīñ hai
duniya-e-haqiqat se wo begana nahin hai
diwana jise kahte ho diwana nahin hai
labrez junun ka abhi paimana nahin hai
nazron se ayan laghzish-e-mastana nahin hai
bas hasil-e-kaunain ise yaad hai un ki
manus-e-do-alam dil-e-diwana nahin hai
bikhre hue tare hain jigar-chaak gul-e-tar
kya ye meri barbaadi ka afsana nahin hai
ek parda-e-mahbub hai ek raaz-e-haqiqat
diwana kisi rang se diwana nahin hai
rahne do hijab-e-gham-e-dil mein ise pinhan
is bazm ke qabil mera afsana nahin hai
jo kaif-e-alam barish-e-gham se ho gurezan
jo dard se ghabrae wo diwana nahin hai
tarkib badal jae to ho jae haqiqat
unwan badal jae to afsana nahin hai
hai tum se shikayat ka irada sar-e-mahfil
andaz magar dil ka harifana nahin hai
jo mujh se gunahgar ko firdaus na baKHshe
aisi to teri shan-e-karimana nahin hai
kya haq hai 'wakil' us ko mohabbat mein jiye wo
jo un ke liye ishq mein diwana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.