duniya-e-justuju mein tamasha bana hua
duniya-e-justuju mein tamasha bana hua
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
duniyā-e-justujū meñ tamāshā banā huā
phirtā huuñ shahr-shahr tujhe DhūñDhtā huā
dil kī tajalliyoñ meñ tujhe dekhtā huā
sar-tā-ba-pā huuñ aaj maiñ manzil banā huā
allah re jazb-e-shauq kī sehr-āfrīniyāñ
jitnā tire qarīb huā ġham sivā huā
kis ko sunā.eñ kis se kaheñ hāl-e-kārvāñ
hai rāhbar ke bhes meñ rahzan chhupā huā
namrūd kī ḳhudā.ī se ye daur kam nahīñ
merā bhalā huā na tumhārā bhalā huā
ma.asūmiyat kahūñ ki ise bhī adā kahūñ
dil chhīn kar vo pūchh rahe haiñ ki kyā huā
rakhtā huuñ zindagī se ziyāda use aziiz
dil meñ jo ek 'dard' hai terā diyā huā
duniya-e-justuju mein tamasha bana hua
phirta hun shahr-shahr tujhe DhunDhta hua
dil ki tajalliyon mein tujhe dekhta hua
sar-ta-ba-pa hun aaj main manzil bana hua
allah re jazb-e-shauq ki sehr-afriniyan
jitna tere qarib hua gham siwa hua
kis ko sunaen kis se kahen haal-e-karwan
hai rahbar ke bhes mein rahzan chhupa hua
namrud ki KHudai se ye daur kam nahin
mera bhala hua na tumhaara bhala hua
masumiyat kahun ki ise bhi ada kahun
dil chhin kar wo puchh rahe hain ki kya hua
rakhta hun zindagi se ziyaada use aziz
dil mein jo ek 'dard' hai tera diya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.