duniya-e-KHarabaat se pahle bhi kahin tha
duniyā-e-ḳharābāt se pahle bhī kahīñ thā
maiñ apnī mulāqāt se pahle bhī kahīñ thā
aalam to abhī kal ke haiñ taḳhlīq mire dost
maiñ arz-o-samāvāt se pahle bhī kahīñ thā
maiñ aaj bhī huuñ kal bhī kahīñ hūñgā yaqīnan
aur arsa-e-auqāt se pahle bhī kahīñ thā
kahte the malā.ek ki ye insān hai fitna
ya.anī ki maiñ ḳhadshāt se pahle bhī kahīñ thā
logoñ ko to idrāk mirā aaj huā hai
maiñ saarī ḳhurāfāt se pahle bhī kahīñ thā
har shai kī mire dam se hī pahchān huī hai
maiñ kashf-o-karāmāt se pahle bhī kahīñ thā
maiñ hazrat-e-insān anal-ishq anal-husn
aadam kī hikāyāt se pahle bhī kahīñ thā
har chiiz mire vāste raqsāñ hai jahāñ kī
maiñ mahfil-o-naġhmāt se pahle bhī kahīñ thā
jis raat ḳhudā-pāk ne iqrār liyā thā
'tahsīn' maiñ us raat se pahle bhī kahīñ thā
duniya-e-KHarabaat se pahle bhi kahin tha
main apni mulaqat se pahle bhi kahin tha
aalam to abhi kal ke hain taKHliq mere dost
main arz-o-samawat se pahle bhi kahin tha
main aaj bhi hun kal bhi kahin hunga yaqinan
aur arsa-e-auqat se pahle bhi kahin tha
kahte the malaek ki ye insan hai fitna
yani ki main KHadshat se pahle bhi kahin tha
logon ko to idrak mera aaj hua hai
main sari KHurafat se pahle bhi kahin tha
har shai ki mere dam se hi pahchan hui hai
main kashf-o-karamat se pahle bhi kahin tha
main hazrat-e-insan anal-ishq anal-husn
aadam ki hikayat se pahle bhi kahin tha
har chiz mere waste raqsan hai jahan ki
main mahfil-o-naghmat se pahle bhi kahin tha
jis raat KHuda-pak ne iqrar liya tha
'tahsin' main us raat se pahle bhi kahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.