Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya-e-mohabbat viran hai bechain dil-e-nakaam nahin

Wali Kakoravi

duniya-e-mohabbat viran hai bechain dil-e-nakaam nahin

Wali Kakoravi

duniyā-e-mohabbat vīrāñ hai bechain dil-e-nākām nahīñ

pahlū meñ nishān-e-zaḳhm nahīñ āñkhoñ meñ lahū naam nahīñ

nazroñ se milī thiiñ jab nazreñ barbādī-e-dil ḳhadsha thā

āġhāz meñ ham samjhe the achchhā is anjām nahīñ

māyūs-e-payām ab kaan bhī haiñ mahrūm-e-takallum haiñ lab bhī

ḳhāmosh haiñ vo ham bhī chup haiñ ab silsila-e-paiġhām nahīñ

barbād-e-mohabbat kar ke mujhe bekār alam hai kyoñ tum ko

kotāhī-e-qismat hai gila tum par to koī ilzām nahīñ

paimān-e-vafā tum toḌ chuke muñh ishq se ham bhī moḌ chuke

ab dil meñ tumhārī yaad nahīñ ab lab pe tumhārā naam nahīñ

koyal jo kabhī kuuk uThtī hai dil meñ mire ik huuk uThtī hai

barsoñ hue tark-e-ulfat ko par dil ko hanūz ārām nahīñ

tanhā jo kabhī rahtā huuñ 'valī' kuchh dil kahī kahtā huuñ 'valī'

ab fikr-e-suḳhan shauq nahīñ ab bazm-e-suḳhan se kaam nahīñ

duniya-e-mohabbat viran hai bechain dil-e-nakaam nahin

pahlu mein nishan-e-zaKHm nahin aankhon mein lahu ka nam nahin

nazron se mili thin jab nazren barbaadi-e-dil ka KHadsha tha

aaghaz hi mein hum samjhe the achchha is ka anjam nahin

mayus-e-payam ab kan bhi hain mahrum-e-takallum hain lab bhi

KHamosh hain wo hum bhi chup hain ab silsila-e-paigham nahin

barbaad-e-mohabbat kar ke mujhe bekar alam hai kyon tum ko

kotahi-e-qismat ka hai gila tum par to koi ilzam nahin

paiman-e-wafa tum toD chuke munh ishq se hum bhi moD chuke

ab dil mein tumhaari yaad nahin ab lab pe tumhaara nam nahin

koyal jo kabhi kuk uThti hai dil mein mere ek huk uThti hai

barson hue tark-e-ulfat ko par dil ko hanuz aaram nahin

tanha jo kabhi rahta hun 'wali' kuchh dil ki kahi kahta hun 'wali'

ab fikr-e-suKHan ka shauq nahin ab bazm-e-suKHan se kaam nahin

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now