duniya-e-rang-o-bu se kinara nahin kiya
duniyā-e-rañg-o-bū se kināra nahīñ kiyā
achchhā kiyā jo ham ne dikhāvā nahīñ kiyā
ham jism ko bachā na sake gard se magar
ye to kiyā ki ruuh ko mailā nahīñ kiyā
auroñ par apnī zaat kī tarjīh to bajā
ham ne kuchh apne saath bhī achchhā nahīñ kiyā
chup-chāp bāhar aa ga.e rassa-kashī se ham
zāhir kisī pe apnā irāda nahīñ kiyā
bas Dūbte ubharte rahe haiñ tamām umr
ham ne ubuur karb kā dariyā nahīñ kiyā
kuchh dhuup us ko chiir ke ham tak pahuñch ga.ī
kuchh ham par us daraḳht ne saaya nahīñ kiyā
'betāb' jānkār sabhī kartaboñ ke the
kuchh baat thī jo ham ne tamāshā nahīñ kiyā
duniya-e-rang-o-bu se kinara nahin kiya
achchha kiya jo hum ne dikhawa nahin kiya
hum jism ko bacha na sake gard se magar
ye to kiya ki ruh ko maila nahin kiya
auron par apni zat ki tarjih to baja
hum ne kuchh apne sath bhi achchha nahin kiya
chup-chap bahar aa gae rassa-kashi se hum
zahir kisi pe apna irada nahin kiya
bas Dubte ubharte rahe hain tamam umr
hum ne ubur karb ka dariya nahin kiya
kuchh dhup us ko chir ke hum tak pahunch gai
kuchh hum par us daraKHt ne saya nahin kiya
'betab' jaankar sabhi kartabon ke the
kuchh baat thi jo hum ne tamasha nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.