duniya hai Khaarzar kahan aa gai hun main
duniyā hai ḳhārzār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
har-sū hai ḳhalfishār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
bazm-e-jahāñ meñ dukh hai aziyyat hai ġham bhī hai
ye dil hai sogvār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
suntī huuñ ek roz qayāmat bhī aa.egī
kartī huuñ intizār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
luTne kā dil meñ ḳhadsha hamesha lagā rahā
rahzan haiñ be-shumār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
merī nazar meñ sab haiñ hasīñ se hasīn-tar
mujh ko hai sab se pyaar kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
dasht-o-jabal na peḌ na paude haiñ kuchh yahāñ
har-sū hai regzār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
koī na āshnā hai na tal.at hai ham-navā
tanhā huuñ be-qarār kahāñ aa ga.ī huuñ maiñ
duniya hai KHarzar kahan aa gai hun main
har-su hai KHalfishaar kahan aa gai hun main
bazm-e-jahan mein dukh hai aziyyat hai gham bhi hai
ye dil hai sogwar kahan aa gai hun main
sunti hun ek roz qayamat bhi aaegi
karti hun intizar kahan aa gai hun main
luTne ka dil mein KHadsha hamesha laga raha
rahzan hain be-shumar kahan aa gai hun main
meri nazar mein sab hain hasin se hasin-tar
mujh ko hai sab se pyar kahan aa gai hun main
dasht-o-jabal na peD na paude hain kuchh yahan
har-su hai regzar kahan aa gai hun main
koi na aashna hai na talat hai ham-nawa
tanha hun be-qarar kahan aa gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.