duniya hai tez dhup samundar hai jaise tu
duniyā hai tez dhuup samundar hai jaise tū
bas ek saañs aur ki manzar hai jaise tū
ye aur baat hai ki bahut muqtadir huuñ maiñ
hai dastaras meñ koī to pal bhar hai jaise tū
bas chalte chalte mujh ko badan kī ravish milī
varna ye sard shaam bhī patthar hai jaise tū
kyā jaane kis sadī kā takalluf hai darmiyāñ
ye roz o shab kī dhuul hī behtar hai jaise tū
duniya hai tez dhup samundar hai jaise tu
bas ek sans aur ki manzar hai jaise tu
ye aur baat hai ki bahut muqtadir hun main
hai dastaras mein koi to pal bhar hai jaise tu
bas chalte chalte mujh ko badan ki rawish mili
warna ye sard sham bhi patthar hai jaise tu
kya jaane kis sadi ka takalluf hai darmiyan
ye roz o shab ki dhul hi behtar hai jaise tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.