duniya ka har sitam to gawara kare koi
duniyā kā har sitam to gavārā kare koī
kis dil se aah tark-e-tamannā kare koī
maujoñ se aur baḌhtā hai ehsās-e-tishnagī
dariyā ko kis nigāh se dekhā kare koī
āñkhoñ meñ koī husn kī tasvīr hī nahīñ
ā.īna kis ḳhayāl se dekhā kare koī
dekhā thā us ko yā ki fareb-e-nazar thā vo
kab tak mazāq-e-dīd ko rusvā kare koī
sīkhī haiñ kis se husn ne nāvak-nigāhiyāñ
andāz-e-dilbarī bhī sikhāyā kare koī
phūloñ meñ rang aur na ġhunchoñ pe hai shabāb
kis dil se gulsitāñ kā nazāra kare koī
hañste haiñ hāl-e-zār pe ahbāb ai 'nazīr'
ġham kā hamāre kaash mudāvā kare koī
duniya ka har sitam to gawara kare koi
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
maujon se aur baDhta hai ehsas-e-tishnagi
dariya ko kis nigah se dekha kare koi
aankhon mein koi husn ki taswir hi nahin
aaina kis KHayal se dekha kare koi
dekha tha us ko ya ki fareb-e-nazar tha wo
kab tak mazaq-e-did ko ruswa kare koi
sikhi hain kis se husn ne nawak-nigahiyan
andaz-e-dilbari bhi sikhaya kare koi
phulon mein rang aur na ghunchon pe hai shabab
kis dil se gulsitan ka nazara kare koi
hanste hain haal-e-zar pe ahbab ai 'nazir'
gham ka hamare kash mudawa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.