duniya ka main ghulam abhi tak nahin hua
duniyā kā maiñ ġhulām abhī tak nahīñ huā
panchhī ye zer-e-dām abhī tak nahīñ huā
barsoñ se kah rahā huuñ bhulā de use ai dil
chhoTā sā ek kaam abhī tak nahīñ huā
rasta bhī ḳhatm ho gayā manzil bhī mil ga.ī
lekin safar tamām abhī tak nahīñ huā
dīvānoñ meñ shumār to hone lagā mirā
dīvāngī meñ naam abhī tak nahīñ huā
ham donoñ ek duuje ke aa to ga.e qarīb
par fāsla tamām abhī tak nahīñ huā
duniyā se kartā rahtā huuñ har vaqt guftugū
ḳhud se maiñ ham-kalām abhī tak nahīñ huā
ḳhargosh ab ke so.e zarūrī nahīñ 'kamāl'
kachhvā to tez-gām abhī tak nahīñ huā
duniya ka main ghulam abhi tak nahin hua
panchhi ye zer-e-dam abhi tak nahin hua
barson se kah raha hun bhula de use ai dil
chhoTa sa ek kaam abhi tak nahin hua
rasta bhi KHatm ho gaya manzil bhi mil gai
lekin safar tamam abhi tak nahin hua
diwanon mein shumar to hone laga mera
diwangi mein nam abhi tak nahin hua
hum donon ek duje ke aa to gae qarib
par fasla tamam abhi tak nahin hua
duniya se karta rahta hun har waqt guftugu
KHud se main ham-kalam abhi tak nahin hua
KHargosh ab ke soe zaruri nahin 'kamal'
kachhwa to tez-gam abhi tak nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.