duniya kahin jo banti hai miTti zarur hai
duniyā kahīñ jo bantī hai miTtī zarūr hai
parde ke pīchhe koī na koī zarūr hai
jaate haiñ log jā ke phir aate nahīñ kabhī
dīvār ke udhar koī bastī zarūr hai
mumkin nahīñ ki dard-e-mohabbat ayaañ na ho
khiltī hai jab kalī to mahaktī zarūr hai
ye jānte hue ki pighalnā hai raat bhar
ye sham.a kā jigar hai ki jaltī zarūr hai
nāgin hī jāniye use duniyā hai jis kā naam
laakh āstīñ meñ pāliye Dastī zarūr hai
jaañ de ke bhī ḳharīdo to duniyā na aa.e haath
ye musht-e-ḳhāk kahne ko sastī zarūr hai
duniya kahin jo banti hai miTti zarur hai
parde ke pichhe koi na koi zarur hai
jate hain log ja ke phir aate nahin kabhi
diwar ke udhar koi basti zarur hai
mumkin nahin ki dard-e-mohabbat ayan na ho
khilti hai jab kali to mahakti zarur hai
ye jaante hue ki pighalna hai raat bhar
ye shama ka jigar hai ki jalti zarur hai
nagin hi jaaniye use duniya hai jis ka nam
lakh aastin mein paliye Dasti zarur hai
jaan de ke bhi KHarido to duniya na aae hath
ye musht-e-KHak kahne ko sasti zarur hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 269)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.