Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya ke maya-jal se aage nikal gae

Neeraj Naveed

duniya ke maya-jal se aage nikal gae

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    duniyā ke māyā-jāl se aage nikal ga.e

    jo hijr aur visāl se aage nikal ga.e

    sochā tujhe hai utnā ke is be-ḳhudī meñ ham

    aksar tire ḳhayāl se aage nikal ga.e

    muddat ke baa'd phir koī achchhā lagā hameñ

    yā'nī ke ham malāl se aage nikal ga.e

    rishte ik javāb pe dār-o-madār thā

    aur vo usī savāl se aage nikal ga.e

    us ajnabī se pahlī mulāqāt meñ ham

    kab jaane bol-chāl se aage nikal ga.e

    dekhā use jo sāmne āñkheñ baras paḌīñ

    jazbāt mere haal se aage nikal ga.e

    mahrūmiyoñ meñ jiinā bhī ḳhud meñ kamāl hai

    dīvāne is kamāl se aage nikal ga.e

    duniya ke maya-jal se aage nikal gae

    jo hijr aur visal se aage nikal gae

    socha tujhe hai utna ke is be-KHudi mein hum

    aksar tere KHayal se aage nikal gae

    muddat ke ba'd phir koi achchha laga hamein

    ya'ni ke hum malal se aage nikal gae

    rishte ka ek jawab pe dar-o-madar tha

    aur wo usi sawal se aage nikal gae

    us ajnabi se pahli mulaqat mein hi hum

    kab jaane bol-chaal se aage nikal gae

    dekha use jo samne aankhen baras paDin

    jazbaat mere haal se aage nikal gae

    mahrumiyon mein jina bhi KHud mein kamal hai

    diwane is kamal se aage nikal gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now