duniya ki dil dukhane ki aadat nahin gai
duniyā kī dil dukhāne kī aadat nahīñ ga.ī
apnī bhī muskurāne kī aadat nahīñ ga.ī
dāman jalā ye dil jalā ye uñgliyāñ jalīñ
apnī diye jalāne kī aadat nahīñ ga.ī
kuchh vo ġhanīm-e-jān bhī hai mustaqil-mizāj
kuchh merī jaañ se jaane kī aadat nahīñ ga.ī
us se kaho ḳhulūs se luuTā kare mujhe
merī fareb khāne kī aadat nahīñ ga.ī
vo shahr bad-nasīb hai us ke mizāj meñ
mohsin kā ghar jalāne kī aadat nahīñ ga.ī
kuchh raushnī se un ko adāvat azal se hai
kuchh apnī jagmagāne kī aadat nahīñ ga.ī
phūñkoñ se āftāb bujhāne kī justujū
bachchoñ sī is zamāne kī aadat nahīñ ga.ī
go talḳhī-e-hayāt se pathrā gayā vo shaḳhs
lekin ġhazal sunāne kī aadat nahīñ ga.ī
duniya ki dil dukhane ki aadat nahin gai
apni bhi muskurane ki aadat nahin gai
daman jala ye dil jala ye ungliyan jalin
apni diye jalane ki aadat nahin gai
kuchh wo ghanim-e-jaan bhi hai mustaqil-mizaj
kuchh meri jaan se jaane ki aadat nahin gai
us se kaho KHulus se luTa kare mujhe
meri fareb khane ki aadat nahin gai
wo shahr bad-nasib hai us ke mizaj mein
mohsin ka ghar jalane ki aadat nahin gai
kuchh raushni se un ko adawat azal se hai
kuchh apni jagmagane ki aadat nahin gai
phunkon se aaftab bujhane ki justuju
bachchon si is zamane ki aadat nahin gai
go talKHi-e-hayat se pathra gaya wo shaKHs
lekin ghazal sunane ki aadat nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.